<< Ahmed Nadeem Qasmi>>
*******
Mujhse kaafir ko tere ishq ne yuN sharmayaa
Dil tujhe dekh ke dhaRkaa to Khudaa yaad aaya
(kaafir : Nastik, non-believer)
*
Chaaraagar aaj sitaaroN ki qasam Khaa ke bata
Kisne insaaN ko tabassum ke liye tarsaaya
(Tabassum : Muskurahat, smile)
*
Nazr kartaa rahaa maiN phool ke jazbaat use
Jisne patthar ke khilonoN se mujhko bahlaaya
*
Us ke andar koi fankaar chhupa baitha hai
Jaante-buujhte jis shaks ne dhokaa Khaaya
***
(Click here for more kalam-e-Ahmed Nadeem Qasmi)






Leave a Reply