(Mohsin Naqvi)
*
Fun mien ye mo’ajeza* bhi paida kar
PattharoN se bashar* tarashaa kar
Mo’ajeza = Chamatkaar | Bashar = insaan
*
Kab se apni tlash mien gum hun
Aye khuda.! mujh ko mujh pe afsha* kar
afsha = zahirhona (raaz khulna)
*
Jis pe ab ungliyaN uthaa taa hun
Us ko mangaa tha haath phelaa kar
*
Aey bichharh kar n laut ne waale
Dukh ki ratoN mien yaad aayaa kar
*
Jal chuka shehar, mar chuke baasi*
Ab bujhi raakh hi kuredaa kar
Baasi = Basera karne wale/ rehne wale
*
Umar bhar mujh pe barf barsi hai
Dasht* ki dhoop mujh pe saayaa kar
Dasht = veerana / biyabaan
*
Ek tanhaa shajar* ne mujh se kahaa
Mere saye mein roz baithaa kar
Shajar = darakht
*
Tu..! ke mu’ajiza numa* he naam teraa
Mein ke zarrah huN mujh ko sehraa kar
Mu’ajiza numa = chamatkaar jaisa
*
Ay mere kuchh n sochne waale..!!
Apne bare mein kuchh to sochaa kar
*
Mein izaadaar* hun andheroN kaa
Tu sahar* hai to mujh se pardah kar
Izadaar = Ronewala/Sogwaar | Sahar = sawera/subah
*
Ay smandar ke abr-e-aawarah
Dasht mein ek pal to thehraa kar
*
Kon baategaa dukh tere “Muhsin”
DostoN se bhi chhup ke royaa kar
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )







Awesome Ghazal Mohsin Naqviji.Subhaan Allah.Rooh ki gehraaiyon tak utarti hai aapki har ghazal.