(Mohsin Naqvi)
*
Ek diya dil mein jalana bhi bujhaa bhi dena
Yaad karna bhi use, roz bhulaa bhi dena
*
Kya kahun ye meri chahat hai ke nafrat uski
Naam likhna bhi mera, likh ke mitaa bhi dena
*
Phir n milne ko bichadtaa hun mein tujh se lekin
Mud ke dekhun to palatne ki duaa bhi dena
*
Khat bhi likhna use, maayus bhi rehna us se
Jurm karna bhi magar khud ko sazaa bhi dena
*
Mujh ko rasmoN ka takalluf bhi gawaraa lekin
Jee mein aaye to ye deewar ghiraa bhi dena
*
Usse mansoob bhi kar lena puraane qisse
Us ke baloN mein nayaa phool sajaa bhi dena
*
Surat-e-naqsh-e-qadam dasht mein rehna “Mohsin”
Apne hone se n-hone ka pataa bhi dena
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )







Bahut khob….