Faani Ki Shayari
Faani Ki Shayari
♥
M’aal-e-soz-e-gham haa-e-nihani dekhte jaao
Bhadak utthi hai shmm’e zindagani dekhte jaao
Chale bhi aao wo hai qabr-e-faani dekhte jaao
Tum apne marne waale ki nishani dekhte jaao
Abhi kya hai kisi din khooN rulayegi ye khamoshi
Zuban-e-haal ki Jaadu bayani dekhte jaao
Ghurur-e-husn ka sadqa koi jaata hai duniya se
Kisi ki khaak mein milti jawani dekhte jaao
Udhar munh pher kar kya zib’ha karte ho idhar dekho
Meri gardan pe khanjar ki rawani dekhte jaao
Bahar-e-zindagi ka lutf dekha aur dekhoge
Kisi ka aish-e-marg-e-naghani dekhte jaao
Sune jaate n the tum se mere din raat ke shikwe
Kafan sarkaao meri bezubani dekhte jaao
Wo uththa shor-e-matam aakhari deedar-e-mayyat par
Ab uththa chahti hai na’ash e “faani” dekhte jaao
♥
Mazeed : Kalam e Fani Badayuni







Leave a Reply