<< Ahmad Faraz >>
*
“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoon Bhi Nahin
Magar Qaraar Se Din Kat Rahe Ho Yun Bhi Nahin
*
Lab-o-Dahan Mila, Guftagu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahin
*
N Jaanay Kyun Meri Aankhain Barasne Lagti Hain
Jo Sach Kahuun To Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahin
*
Meri Zabaan Ki Luknat Se Badguman N Ho
Jo Tu Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahin
*
DukhoN Ke Dher Lage Hain Ke Loog Baithe Hain
Isi Dayaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahin
*
“Faraz” Jaise Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahe
Wo Paas Aaye To Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahin
*
(Click here for more kalam-e-Ahmad Faraz)






Leave a Reply