<< Muneer Niazi >>
*
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Tune mujh ko kho diya, main ne tujhe khoya nahin
*
Nind ka halka gulabi sa khumar ankhon main tha
Yun laga jaise wo shab* ko der tak soya nahin
Shab = Raat
*
Har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
Keh sake jo dil ki halat wo lab-e-goya* nahin
Lab-e-goya = bolne wale honth
*
Jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
Kaat-ta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
*
Jaanta hun ek aise shakhs ko main bhi ‘Muneer’
Gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
*
( Click here for more kalam-e-Muneer Niazi )







Very nice. Rooh di awaaz hai eh Shayari
nyc
Mashallah bht achi shayari….
Wah muneer sahab
Mashaallah
Bahut khoob muneer sahab