-: JaaN Nisar Akhtar :-
*
Ham se bhaga n karo door ghazaalo* ki tarah
Ham ne chahaa hai tumhen chahne walon ki tarah
*Ghazaalo ki tarah = HirnoN ki tarah (Ghazala = Hiran/Gazelle/Deer)
*
Khud-b-khud neend si aankhoN mein ghuli jaati hai
Mehki-mehki hai shab-e-gham* tere baalon ki tarah
*Shab-e-Gham | Gham ki Raat
*
Aur kya is se zyada koi narmi barte
Dil ke zakhmon ko chhuaa hai tere gaalon ki tarah
*
Aur to mujh ko mila kya meri mehnat ka silaa
Chand sikke hain mere haath mein chhaalon ki tarah
*
Zindagi jis ko tera pyaar mila wo jaane
Ham to naakaam rahe chahne waalon ki tarah
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))







beautifull ….supbbbb
mere email par send kardo na plzzzzzz
Pasand karne ka shukriya..!
Ghazal send kardi hai, Ummid hai aap ko email mil gaya hoga.