Sayyid Randeri ki Shayari
♥♥♥
Ham to qaatil ko bhi jeene ki duaa dete hain
Zindagi kya hai, ye khud mar ke sikhaa dete hain
♥
Khud ko yun jurm-e-muhabbat ki sazaa dete hain
Dil ke armaan ko aankhoN se bahaa dete hain
♥
Tum se kaati n gayi raat bhi tanhaai ki
Ishq waale to yahan sar bhi kataa dete hain
♥
Ham ne khaamosh bana rakkhi hai dil ki duniyaN
Koi aawaaz ubharti hai, dabaa dete hain
♥
Apne jazbaat pe qaabuu nahin rakhne waale
Sar muhabbat ka sar-e-aam jhukaa dete hain
♥
Ham diwane nahin darte hain khiradmandon* se
Aaina waaiz-e-naadaaN ko dikha dete hain
Khiradmand = Aqalmand/समझदार
♥
Apne dukh-dard ko seene se lagale “Sayyid”
Ye to insaan ko insaan banaa dete hain
♥♥♥
Video : Sayyid Randeri ki shayari urdu hindi script mein
Mazeed : kalam-e-Sayyid Randeri







Leave a Reply