Urdu Shayari/Ghazal by Qateel Shifai
*
Bechain umangoN ko beh’laa ke chale jaana
Ham tum ko n rokenge, bas aa ke chale jaana
*
Milne jo n aaye tum, thi kon si majboori
Jhutha koi afsaana, dohraa ke chale jaana
*
Jo aag lagi dil mein, wo sard* n ho jaaye
Bujhte huwe sho’aloN ko, barhka ke chale jaana
Sard = Thandi
*
Ujdi nazar aati hai, jazbaat ki haryaali
Tum us pe koi baadal, barsaa ke chale jaana
*
Furqat* ki aziyyat* mein kuchh sabr bhi lazim* hai
Ye baat mere dil ko samjha ke chale jaana
Furqat = judaai | Aziyyat = takleef | Lazim = zaruri
*
Shayad ke bahel jaaye, deevana “qateel” is se
Tum koi naya wada, farmaa ke chale jaana
*
Mazeed: kalam-e-Qateel Shifai







Leave a Reply