<< Muneer Niazi >>
*Hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
Zaruri bat kahni ho, koi wada nibhana ho
Use awaz deni ho, use wapas bulana ho
Hamesha der kar deta hun main …
*
Madad karni ho uski, yar ki dharas bandhana ho
Bahot derina raston par, kisi se milne jana ho
Hamesha der kar deta hun main …
*
Badalte mausamon ki sair main dil ko lagana ho
Kisi ko yad rakhna ho, kisi ko bhul jana ho
Hamesha der kar deta hun main …
*
Kisi ko maut se pahle kisi gham se bachna ho
Haqiqat aur thi kuch, us ko ja kar ye batana ho
Hamesha der kar deta hun main …
Hamesha der kar deta hun main har kaam karne mein
*
( Click here for more kalam-e-Muneer Niazi )







Muneer neyazi ka aahang un se shuru hua tha aur un par hi khatm hogaya.. He was really a genius poet.