*
Daaman-e-shauq mein masle hue pholo’n ki tarah
Zindagi hai kisi muflis* ke usoolo’n ki tarah
muflis : gareeb
*
Aaj bhi dhoop ke jungle mein hamaare saaye
Naachte phirte hain be-fikr bagulon ki tarah
*
Wahi firaun*, wahi tannur ke maqtal*, wahi daar*
Hum bhi is daur mein jeete hain rasulo’n* ki tarah
Firaun : The cruel Pharaoh at the time of Moses | maqtal : slaughter-house, qatal khana
daar : gallows, suli, pansi ka takhta | daur : zamana, era | rasool : prophet, pegambar, avatar
*
Koi mausam hi na badla ke kisi se kahte
Hasratein sookh gayi dil mein babulo’n ki tarah
*
Haadse hum pe jo guzre the kabhi ai “Aazar”
Yaad aate hain magar sirf maqulo’n ki tarah
maqulo’n : proverbs / kahavat
*
By Kafeel Aazar






Leave a Reply