<< Ahmad Faraz >>
*******
Hui Hai Shaam To Aankhon Mein Bas Gayaa Phir Tu
Kahaan Gayaa Hai Mere Shahar Ke Musaafir Tu
*
Bohat Udaas Hai Ek ShaKhs Tere Jaane Se
Jo Ho Sake Tou Chalaa aa Usi Ki Khaatir Tu
*
Meri Misaal Ke Ek NaKhl-e-Khushk-e-Saharaa Hun
Teraa Khayaal Ke ShaaKh-e-Chaman Kaa Taair Tu
*
Main Jaantaa Hun Ke Duniyaa Tujhe Badal Degi
Main Maanataa Huun Ke Aisaa Nahin Bazaahir Tu
*
Hansi Khushi Se Bichhadh Jaa Agar Bichhadhna hai
Ye Har Maqaam Pe Kyaa Sochtaa Hai Aakhir Tu
*
‘Faraz’ Tune Use Mushkilon Mein Daal Diyaa
Zamaana Saahib-e-Zar aur Sirf Shaair Tu
***
(Click here for more kalam-e-Ahmad Faraz)







Leave a Reply