(( By Qamar Jalalabadi ))
*
Meri duniya me faqat ek Khuda kaafi hai
Dosto kitne Khudaaon ko Khudaai doonga
Teri hi rooh ka nagma hoon agar mit bhi gaya
Mai tujhe doosri duniya me dikhayi doonga
*
Tadbeer se to apni badi dosti rahi
Taqdeer ne salook kuch achha nahi kiya
*
Waqt tal jata hai jab lab pe dua hoti hai
Wo bhi tab hota hai jab uski raza hoti hai
Vasl* to marz-e-mohabbat hai Mohabbat walo
Khud Mohabbat hi Mohabbat ka sila hoti hai
Vasl = Milan
*
Kuch to hai baat jo aati hai kaza ruk ruk ke
Zindagi Karz hai kiston me ada hoti hai
*
Aa gaya dil kisee pe aana tha
Aapka husn ek bahana tha
Tinke tinke se mil ke roye hum
Jaisa har tinka aashiyana tha
*
Hum se tu is qadar khafa kya hai
Tu Sanam hai? ke hai Khuda? kya hai?
Hum khade hain jhukaye sar kabse
Tegh utha tegh..! dekhta kya hai
Tegh = Talwar
*
Click Here For More Kalam e Qamar Jalalabadi







I read Qamar jalalabadi poetry it is fine and outstanding. I am proud to read it. He was a poet and his poetry is best of all. May all give him peace in heaven.