( Manzar Bhopali )
≈≈≈
Zulf o rukh ke saye me, zindagi guzaari hai
Dhoop bhi hamari hai, chhaoN bhi hamari hai
≈
Gham-ghusar chehroN par, aitebar mat karna
Shehr me siyasat ke, dost bhi shikaari hai
≈
Modh lene wali hai, zindagi koi shayad
Ab ke phir hawaoN me, aek be-qaraari hai
≈
Ek ajeeb thandak hai, us ke narm lehjey me
Lafz lafz shabnam hai, baat baat pyaari hai
≈
Kutch to payenge uski, qurbatoN ka khamyaza
Dil to ho chuke tukde, ab saroN ki baari hai
≈
Baap bojh dhota tha, kya jahez de pataa
Is liye wo shehzaadi aaj tak kunwaari hai
≈
Keh do meer-o-ghalib se, ham-bhi shear kehte hain
Wo sadi tumhari thi, ye sadi hamaari hai
≈≈≈
Manzar Bhopali »







Wonderful kalaam