We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
_________________
<< Amjad Islam “Amjad” >>
*******
Ham the hamaare saath koi teesra n thaa
Aisaa haseen din kahin dekhaa sunaa n thaa
*
AankhoN mein us ki tair rahe the hayaa ke rang
PalkeN uthaa ke meri taraf dekhtaa n thaa
*
Kuchh aise us ki jheel si aankheN thi har taraf
Ham ko siwaaye doobne ke raasta n thaa
*
HaathoN mein der tak koi khushbuu basi rahi
Darwaaza-e-chaman tha wo, baNd-e-qabaa n thaa
*
Us ke to aNg-aNg mein jalne lage diye
Jaadu hai mere haath mein, mujh ko pataa n thaa
*
Us ke badan ki lau se thi kamre mein raushni
KhiRki mein chaand, taaq mein ko’i diyaa n thaa
*
Kal raat woh nigaar, hua aisaa multafit*
AksoN ke darmiyaan ko’i aaina n thaa
*
SaaNsoN mein the gulaab to hoNtoN pe chaandni
In manzaroN se main to kabhi aashnaa n thaa
*
Royaa kuch is tarah mere shaane se lag ke woh
Aisaa laga ke jaise kabhi be wafaa n thaa
*
Hai ishq ek rog, mohabbat azaab hai
Ik roz ye kharaab kareN ge, kahaa n thaa!
*
“Amjad” wahaaN pe had koi rehti bhi kis tarah
Rukne ko keh raha thaa magar roktaa n thaa
***
(( Click Here for More Kalaam e Amjad Islam Amjad ))






urdu shayri
famous shayri
Maan ke unki baat meri maut ho gay mukar’rar,
chhod ke jaane tuje mera ye faislaa naa tha.
Bahot Khoob! Waakaee Ghazal ke sheyr huae haen.