Bikhre Moti
* * * * *
Jab se tu ne mujhe divana banaa rakkha hai
Sang har shakhs ne hathon main uthaa rakkha hai
(Sang = Patthar)
*
Us ke dil par bhi kadi ishq main guzari hogi
Naam jis ne bhi muhabbat ka sazaa rakkha hai
*
Patharon aaj mere sar pe baraste kyuN ho
Mein ne tum ko bhi kabhi apna khuda rakha hai
*
Ab mere deed ki duniya bhi tamashai hai
Tu ne kya mujhko muhabbat main bana rakhaa hai
(Deed = Deedar, Darshan)
*
Pee ja ayyam kee talkhee ko bhi hans kar “Nasir”
Gham ko sehnae main bhi kudrat ne mazaa rakhaa hai
*
(Shaair : Hakim Nasir)
***
Kalam-e-Sayyid | Kalam-e-Saahil | Kalam-e-Aamir







Leave a Reply