(( Kalam-e-Shakeel Badayuni ))
*****
Jeene waale qazaa se darate hain
Zehar peekar dawaa se darate hain
[qazaa=death; zehar=poison]
*
ZaahidoN ko kisi kaa Khauf nahin
Sirf kaali ghataa se darate hain
[Zaahid=knowledgeable/religious person
*
Aah jo kuchh kahe hameN manzuur
Nek bande Khudaa se darate hain
*
DushmanoN ke sitam kaa Khuaf nahin
DostoN ki wafaa se darate hain
*
Azm-o-himmat ke baawajuud “Shakeel”
Ishq ki ibtidaa se darate hain
[Azm=Decision | Ibtidaa=Beginning/Start]
*
(click here for more kalam-e-shakeel badayuni)







Leave a Reply