<< Sayyid Randeri >>
*******
Haqeeqat he magar phir bhi gumaaN maloom hota hai
Jigar ka dard upar se kahaaN maloom hota hai
*
Tabassum se khshi ka razdaaN maloom hota hai
Bhare dil aah to dard-e-nihaaN maloom hota hai
*
Achanak dil se kyuN uthta dhuaaN maloom hota hai
YahaN dard-e-muhabbat ka nishaaN maloom hota hai
*
He charo’n simt sannata nagar mein maut ka aysaa
B-zaahir har taraf aman-o-amaaN maloom hota hai
*
Ujaala aag ka ashkoN ke moti khoon ke daryaa
Mera pyara watan jannat nishaaN maloom hota hai
*
Khushi se jaan yuN nikli uthaa hi rehgaya khnjar
Mera qaatil, mera mahboob-e-jaaN maloom hota hai
*
Suna deta he sab kuchh ek ishaare mein nigaahoN ke
B-zaahir ishq marhroom-e-zubaaN maloom hota hai
*
Ye naakaami ye waawele ye faryaadeN teri “sayyid”
Khuda ki maar.!! ye ishq-e-butaaN maloom hota hai
***
(( Click here for more kalam-e-Sayyid Randeri ))







Leave a Reply