Famous Urdu Ghazal
*
T’alluq* torta hun to mukammal* tor deta hun
Jise main chhor deta hun, mukamal chhor deta hun
Talluq = Sambandh / Rishta | Mukammal = Pura / puritarah
*
Muhabat ho k nafrat ho, bhara rehta hun shid’dat* se
Jidher se aaye ye derya, udher hi mor deta hun
Shiddat = Trivta / Intensity
*
Yqeen rkhta nahin hun main kisi kachche t’alluq par
Jo dhaga tuutne wala ho us ko tor deta hun
*
Mere dekhe huwe ye khwaab lehreN hi n le jaaen
Gharonde reit ke taameer* kar ke chhor deta hun
Tameer = Nirman karna / Construction
*
“Adeem” ab tak whi bachpan, whi takhreeb-kaari* hai
Qafas* ko tor deta hun, prinde chhor deta hun
TakhreebKaari = TodFod/Sabotage | Qafas = pinjra/Cage
*
Poet: Adeem Hashmi







Butiful
wah
Nice,heart touching