Urdu Shayari By Basheer Badr
Basheer badr ki ghazal paish-e-khidmat hai
♥
Hai ajeeb shahr ki zindagi n safar raha n qayaam hai
Kahin karobar si dophar kahin bad-mizaaj si shaam hai
♥
Kahan ab duaon ki barkatein wo naseehatein wo hidayatein
Ye zaroraton ka khuloos hai ye mataalbon ka salaam hai
♥
Yun hi roz milne ki aarzo badi rakh rakhao ki guftgu
Ye sharaafatein nahin be gharaz use aapse koi kaam hai
♥
Wo dilom mein aag lagaayega mein dilon ki aag bujhaunga
Use apne kaam se kaam hai mujhe apne kaam se kaam hai
♥
Na udaas ho n malaal kar kisi baat ka n khyaal kar
kai saal baad mile hain ham tire naam aaj ki shaam hai
♥
Koi naghmadhoop key gaon sa koi naghma shaamki chhaon sa
Zara in parindon se poochhna ye kalaam kis ka kalaam hai
♥
Mazeed: kalam e Bashir Badr






Leave a Reply