.
Jahan tak mumkin ho saka urdu ke mushkil alfaaz ka matlab samjhane ki koshish ki hai, ummid hai sirf hindi samajhne waale bhi is ghazal ko aasani se samajh sakenge.
<< Mohsin Naqvi >>
*
Mujhe khala* mein bhatak ne ki aarzoo hi sahi
Ke tuu mile n mile teri justajoo* hi sahi
Khlaa = Space / Antriksh | Justajoo = Talash / Khoj
*
Qareeb aa shab-e-tanhaai*, tujh se pyaar karun
Tamam din ki thakan kaa ilaaj too hi sahi
shab-e-tanhaai = aekaant ki raat
*
Bade khuloos se* milta he, jab bhi miltaa hai
Woh be-waafa to nahin hai, bhanah joo* hi sahi
khuloos se = sachche dil se / imandari se | Bhana joo = bhanebaaz
*
Magar wo abr samandar pe kyun brasta hai
Zameen baanj sahi, Khaak be numoo* hi sahi
be numoo = banjar / aviksit
*
Tum apne daagh-e-sar-e-peirahan* ki baat karo
Hamara daman-e-sad chaak* be-rafoo hi sahi
daagh-e-sar-e-peirahan = Peirahan pe laga daagh | daman-e-sad chaak = taar taar / sau jagah se phata daman
*
Ye naaz kam to nahin he ke un se mil aaye
Woh ek pal ko sar-e-raah guftagoo hi sahi
*
Jo apne aap se sharmaaye kisse baat kare
Mein aaine ki taraah us ke roobroo* hi sahi
roobroo = saamne
*
Kisi tarah to ye tanhaaiyoN ki shaam kate
Visaal-e-yaar* nahin, qurbate-adoo* hi sahi
Visaal e yaar = yaar se milan | qurbat e adoo = dushman ka saath
*
Ye sajda-e-sar-e-maqtal* ka waqt hai “Muhsin”
Khud apne khoon-e-rag-e-jaaN se ab wazoo* hi sahi
sajda-e-sar-e-maqtal = qatalgaah par sajda / qurban hona | khoon-e-rag-e-jaaN se wazoo = khoon mein nahana
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )






Subhaan Allah Mohsin Saahab.Bohot hi pyaar kalaam hai.
Nice shayri best ever