<< Qamar Jalalabadi >>
*
Ham-nasheeN kaise kahun jazba-e-ulfat kya hai
Khud bataegi muhabbat ke muhabbat kya hai
*
Ishq ko log majazee* kyun samajh baithe hain
Gar nahi ishq haqeeqat to haqeeqat kya hai
majazee = khayaali / naqli / aabhasi / simulations
*
Ishq ko bhoolke jannat ki hai duniya ko talaash
Ishq ki aag jo dozakh hai to jannat kya hai
*
Aaya parwana gira shama pe jal jal ke mara
Tu abhi soch raha hai ke muhabbat kya hai
*
Wo abhi aaye the yaa unka khayal aaya tha
Ae mere shauq zara bol haqeeqat kya hai
*
Meri badli huyi rangat meri haalat dekho
Dosto ab to samajh lo ke muhabbat kya hai
*
Click Here For More Kalam e Qamar Jalalabadi







Leave a Reply