<< Kalam-e-Aamir >>
*******
Khuda jaane junuN kyun dehr main badnaam hai saaqi
Kirad to khud junuN ka husn-e-faiz-e-aam hai saaqi
*
Ye apne chahne waalon se rasmi guftagu kaisi
Teri fitrat mein bhi shaamil mazaq-e-aam hai saaqi
*
Jise dekho wo betaabana teri simt aata hai
Teri nazron ka itna pur-kashish paigaam hai saaqi
*
Gham-e-dauraN Bil-aakhir dheere dheere chhaa gaya sab par
Khirad hi kya junuN tak aaj zer-e-daam hai saaqi
*
Kahan tak badh gaai insaan ki majbooriyaN tawbah
Murawwat tak zamane mein bra-e-naam hai saaqi
*
Agar taskeen ki surat hai kuchh bechen roohon ko
To wo tera tasawwur or tera naam hai saaqi
*
N wo be-baak jazbe hain n wo be-lus qurbaani
Muhabbat ab zarurat ka jahaN mein naam hai saaqi
*
Muhabbat ki kasoti par n duniyaN ko parakh itnaa
Muhabbat ab jahaN mein ek khayaal-e-khaam hai saaqi
*
N jaane kis liye maayus hai wo teri jaanib se
Jise kehte hein “Aamir” jis ka “Aamir” naam hai saaqi
***
Click here for more kalam-e-Aamir Surati)







Leave a Reply