<< Saahil Qadri >>
*******
Khuda ko bhool ke naandaN sahara dhuundne nikle
Bhnwar main daal ke kashti kinaraa dhuundne nikle
*
N-jaane wehshiyon ko kya ajab zauq-e-tajassus hai
Ghane sehra main gulshan ka nazaraa dhuundne nikle
zauq = shauq/maza/jazba/स्वाद | Tajassus = Curiosity/जिज्ञासा
*
Khazaane rakkhe hain jinke liye rab ne zameenoN main
Falaq par wo muqaddar ka sitaraa dhuundne nikle
*
Mere allah! unheN a’amal-e-saaleh ki hidayat de
Mqaam apna jo duniyaN main dobara dhuundne nikle
a’amal e saaleh = neki/achche kaam/Good deeds/nek amal
*
Bohot mumkin hai “Saahil” un se ho jaaye khuda raazi
Khata kar ke jo rahmat ka ishara dhuundne nikle
***
(Click here for more kalam-e-Saahil Qadri)






bahot achcha ho ga agar chand mushkil aur aham alfaaz ke maanee bhi foot-notes mein de saken.Iss koshish se mujh jaiese URDU ke aashikon ka bahot bhala hoga. Shukriya !!
Very Nice
बहुत खूब और उम्दा