Aamir Surati
* * * * *
Ki nigah e karam jab kisi ne
Saath chhora wahin zindagi ne
*
Lab pe naam e wafa dil mein keene
Hai muhabbat paseene paseene
*
Kitne dil torh kar rakh diye hain
Gunch o gul ki bejaa hansee ne
*
Haan khushi bih hamen di gai thi
Gham bhi bakhsha magar aap hi ne
*
Bankpan mein khahan bankpan wo
Bankpan paye jo saadgi ne
*
Dushmani ne bhi angdaaiyaN li
Aankh kholi hi thi dosti ne
*
Ghaur se mere aansoo n deko
Gir padenge falaq se nageene
*
Hadse zindagi ke yaqeenan
Tum n hote to dete n jeene
*
Nakhuda kis pe hain un ka zimma
Je kinare pe doobe safeene
*
Reh gaya muskura kar mein “Aamir”
Mujh ko dhoka diya jab kisi ne
*
Click here for more kalam-e-Aamir Surati







Behtarin shayari ka guldasta !
Behatarin shayari !