<< Sayyid Randeri >>
♥♥♥♥♥
Kisi ko dor-e-hazir mein sukoon-e-dil nahin milta
Taraqqi ke samandar ko kabhi sahil nahin milta
♥
Liye phirtaa he har insaan seene mein chupaae dil
Haqeeqat mein jise kehte hen “dil” wo dil nahin milta
♥
Khirad mandoN* ki duniya me muhabbat roti phirti he
Khuloos-e-dil bhi jo rakhta ho wo aaqil* nahin milta
khirad mand = Wise/Aqalmand | Aaqil = Samajhdaar/Aqalmand/Wise
♥
Musafir apni apni dhun mein daude bhage jaate hein
Kisi ka rukh bhi lekin jaanib-e-manzil* nahin milta
Janib e manzil = manzil ki taraf
♥
Mitaa kar naqsh-e-paa mere wo itrayaa mere aage
Zamane mein koi bhi waqt sa sang-dil nahin milta
Nakqsh-e-paa = Qadmon ke nishan/Naqsh e qadam/Footprint
♥
Nigaah-e-me’hr ka “Sayyid” nahin hai muntazir tanha
Bohot ayse hain duniyaa mein jinheN qaatil nahin milta
♥♥♥
( Click here for more kalam-e-Sayyid Randeri )






Nice
bht khub !
Nice shayeri Bahot khoob wha wha kiya baat
Very nicely
Bahot oomda
ek aapki wo sayari mujhe aaj b yaad hai jo ek baar dainik jagran me padi thi aapke birthday pr
muntajir main hi nahi rahta uski aahat me
kaan darwaaje par uske bhi lage rahte hai….
thanks sir and your family