<< Saahil Qadri >>
*******
Koi bhi karta nahiN hai gul-fashaani muft mein
Hum sunaate haiN magar dil ki kahani muft mein
*
Chhoro mehgaai ki baateN, Qadr-e-ne’amat kuchh karo
Shukar hai ke mil raha hai tum ko paani muft mein
*
Qurb ki manzinl se lekar gumrhi tak kooch kar
Tab milegi tujh ko dil ki raajdhaani muft mein
*
Seekh leta hai parindah jab twakkul ki adaa
Phir khuda deta hai us ko daana-paani muft mein
*
Doobne waale ki qismat meiN likha tha doobna
Ho-gai badnaam daryaa ki rawaani muft mein
*
Raaz-e-dard-e-dil bhalaa “Saahil” chupega kis tarah
Kar rahi hai aankh gham ki tarjumani muft mein
***
(Click here for more kalam-e-Saahil Qadri)







Waah Bohot umda ghazal hai, or shukriya jo aap ne itni achhi ghazal hamko sunaai muft mein. 🙂
बहुत सुंदर अति सुंदर
सीख लेता है जब परिंदा तवक्कुल की अदा
फिर खुदा देता है उसको दाना पानी मुफ्त में
Wah…….
Wah……..
Wah………
Bahut khoob farmaye Sahil sab….
kya baat hai bhot khoob
tawaqul ka sabak aise na kabhi padha na suna jo ek parinde ki zimn me kaha gaya
Wha wha kya baat hay