<<Josh Malihabadi >>
♥♥♥
Soz-e-gham* de ke mujhe, us ne ye irshaad kiyaa
Jaa tujhe kash-m-kash-e-dahr* se aazaad kiyaa
Soz e gham = gham ki jalan | kashmkash e dahr = जीवन की दुविधा / زندگی کی کشمکش
♥
Wo kareN bhi to kin alfaaz mein tera shikwa
Jin ko teri hi nigaah-e-lutf* ne barbaad kiyaa
(nigah e lutf = karam ki nazar / meherbani)
♥
Is kaa ronaa nahin kyun tum ne kiyaa dil barbaad
Is kaa gham hai ki bahut der mein barbaad kiyaa
♥
Meri har saaNs hai is baat ki shaahid* ay maut
Main ne har lutf* ke mauqe pe tujhe yaad kiyaa
(Shahid = gawaah : lutf = maza)
Mujhako to hosh nahin tum ko Khabar ho shayad
Log kahate hain ki tum ne mujhe barbaad kiyaa
♥
Wo tujhe yaad kare jisane bhulaayaa ho kabhi
Hamane tujh ko n bhulaayaa n kabhi yaad kiyaa
♥
Kuchh nahin is ke siwaa “Josh” hareefoN kaa kalaam
Wasl* ne shaad* kiyaa hijr* ne naashaad* kiyaa
(Wasl = milan | Shaad = Khush | hijr = judaai | Naashaad = ghamzada / dukhi)
♥♥♥
( Click here for more kalam-e-Josh Malihabadi )







Leave a Reply