<< Mohsin Naqvi >>
♥♥♥
Main aaina tha, wo mera khayal rakhti thi
Main toot’ta tha to chun-kar sambhal rakhti thi
♥
Har ek masle ka hal wo nikal rakhti thi
Zaheen thi, mujhe hairat mein daal rakhti thi
♥
Main jab bhi tark-e-talluq ki baat karta tha
Wo rokti thi mujhe, kal pe taal rakhti thi
♥
Woh mere dard ko chunti thi apne poron se
Woh mere waaste khud ko nidhal rakhti thi
♥
Woh doobne nahi deti thi dukh ke dariya mein
Mere wajood ki naao uchhaal rakhti thi
♥
Dua’en uski balaa’on ko rok leti thi
Wo chaar suu mere, hathon ki dhaal rakhti thi
♥
Ek aisi dhun ke nahin phir kahin suni mein ne
Wo munfared sa hansi mein kamal rakhti thi
♥
Use nadamate’n meri kahan gawara thi
Wo mere waste asaaN sawal rakhti thi
♥
Bichad ke us’se main dunia ke thokron mein hoon
Wo paas thi to mujhe la’zawaal rakhti thi
♥
Sahar tha naam, Ujale gulam the uske
Wo zindgi ke andhere ujaal rakhti thi
♥
Wo muntazir meri rehti thi dhoop mein “mohsin”
Main laut’ta tha to, chhaoN nikaal rakhti thi…!!!
♥♥♥
Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi






Leave a Reply