We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
_________________
<< Mohsin Naqvi >>
*******
Marhalay Shoq Ke Dushwar Howa Karte Hain
Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Karte Hain
*
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Karte Hain
*
Sirf Haathon Ko N Dekho Kabi Aakhen Bhi Padho
Kuch Sawaali Bare Khud-daar Howa Karte Hain
*
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Pare Rehte Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Karte Hain
*
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Ezadaar Howa Karte Hain
*
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamke
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Karte Hain
*
Sharam Aati Hai Ke Dushman Kise SamjheN “Mohsin”
Dushmani Ke Bhi To Me’ayaar Howa Karte Hain
***
<< Facebook | Twitter >>
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )







Bahut khub