786
Mein Dil Pe Jabr Karunga | Urdu Ghazal By Mohsin Naqvi
Ye ghazal janab mohsin naqvi ki mashhoor aur behtareen ghazaliyat mein se ek hai, ummid hai aap hazraat pasand farmayenge.
*
Mein dil pe jabr karunga tujhe bhula dunga
Marunga khud bhi, tujhe bhi kadi sazaa dunga
*
Ye teergi* mere ghar ka hi kyun muqaddar ho?
Mein tere shehr ke saare diye bujha dunga
Teergi = andhera
*
Hawa ka haath bataunga mein tabahi mein
Hare shajar* se parinde mein khud uda dunga
shajar = darakht, ped
*
Wafa karunga kisi sogwaar chehre se
Purani qabr pe qutba naya saja dunga
*
Isi khayaal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ke dard had se badhega to muskira dunga
*
Tu aasman ki surat hai gir-padega kabhi
Zameen hun mein magar tujh ko aasra dunga
*
Badhaa rahi hai mere dukh, nishaniyaN teri
Mein tere khat, teri tasveer tak jalaa dunga
*
Bahot dinon se mera dil udaas hai “Mohsin”
Is aaine ko koi aks ab nayaa dunga
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )







Leave a Reply