<< Mohsin Naqvi >>
*******
Basaa Huwa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah
Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah
*
Mein Uske Dil Mein Chhupi KhwahisheN Bhi Jaan Gaya
Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Rafoo Ki Tarah
*
Koi Nazar Bhi Uthay Us Pe Dil Dhadak Jaaye
Mein Us se Pyaar Karun Apni Aabroo Ki Tarah
*
Bohat DinoN Mein Jo Dekha Use Tou Kia Kehiye
Lagi Hai Uski Khamoshi Bhi Guftagoo Ki Tarah
*
Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman
Mein RaaigaaN Hi Sahi, Shaakh-e-Be-Namoo Ki Tarah
*
Gham-e-JahaN Tha Ke “Mohsin” Ujaar Mausam Tha
Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujoo Ki Tarah
***
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )






Leave a Reply