Urdu Shayari By Saghar Siddiqui
*
Muhabbat ke mazaron tak chalenge
Zara pee leN.! sitaron tak chalenge
*
Suna hai ye bhi rasm-e-aashiqi hai
Ham apne gham-gusaron tak chalenge
*
Chalo tum bhi..! Safar achchha rahega
Zara ujde dayaron tak chalenge
*
JunuN ki wadiyon se phool chun lo
Wafa ki yaadgaaron tak chalenge
*
HanseeN zulfon ke parcham khool dije
Mehekte lal-o-zaron tak chalenge
*
( Click here for more kalam-e-Saghar Siddiqui )






AB DAMAN-E-HYAAT ME KUCH BHI NAHI RAHA
FARDA KI SARD AAG ME HALAAT JAL GAYE.
(ye wo line hai jo es gazal me kam hai)
Bahot shukriya Azeem Ahmad..!!
Bahot khoob nishaandahi farmaai aap ne, lekin ye comment ghalat post par kar di hai, wo post jis mein ek shear kam tha wo is jagah hai : Suraj Ki Tez Dhoop Mein Lamhaat Jal Gaye
Tashreef laate rahiye aur isi tarah hauslah afzaai farmate rahiye.. Jazakallah.!