<< Daagh Dehelvi >>
<< = >>
Jab ye suna ke “daagh” ka aazar kam huwa
ZaanoN pe haath mar ke bole. sitam huwa
*
But Khane ka nazara bhi gardan ka boj hai
Jab samne pada sar-e-tasleem kham huwa
*
Teri gali ka ek ye adna nishaan hai
Paida isi se jad-e-raahe-adam huwa
*
Afsos hai raqeeb ne ki aap se daghaa
Mujh ko bhi ranj aap ke sar ki qasam huwa
*
Kab shikwa-e-itaab se be-lutfiyaN miti
Sharmindagi gadhi jo wahan ghussa kam huwa
*
Kya dil dharak raha hai navid-e-visaal se
Jis ko khushi huii use aakhir ko gham huwa
*
(( Click here for more kalam-e-Daagh Dehelvi ))







Leave a Reply