<< Ahmad Faraz >>
*******
Wehsht-e-dil sila-e-aabla paai lele
Mujh se yaa rab mere lafzoN ki kamaai lele
*
Aqal har baar dikhati thi jale haath apne
Dil ne har baar kaha aag praai lele
*
Main to us subh-e-darakhshaN ko tawangar jaanuN
Jo mere she’hr se kashkol-e-gadaai lele
*
Tu Gani hai magar itni hai sharaait teri
Wo muhabbat jo hamen raas n aai lele
*
Aisa nadan kharidaar bhi koi hogaa
Jo tere gham ke ewaz saari khudaai lele
*
Apne diwaan ko galiyoN mein liye phirta hun
Hai koi jo hunar-e-zakhm numaai lele
*
Meri khatir n sahi apni anaa ki khatir
Apne bandoN se to pindar-e-khudai lele
***
(Click here for more kalam-e-Ahmad Faraz)







Leave a Reply