Bikhre Moti
* * * * *
KuubiyaN laakh kisi meN ho to charchaa n kare
Log karte hein buri baat ka charchaa kaisaa
(( Daag ))
***
Khwahish-e-wast to kyun kar kahun lekin naaseh
Dekh lene ka to hazarat ko bhi armaN hoga
(( Ameer Minaai ))
***
Dil zamane ke haath se saalim
Koi hogaa jo rehgaya hogaa
(( Meer Dard ))
***
Dil wahi dil hai jo ho apni hararat se fana
Khaak ho jaaye magar aag-bgula n bane
(( Yagana Changezi ))
***
UnheN zauq-e-ibadat bhi hai or gaane ki aadat bhi
Nikalti hai duaaeN un ke munh se thumriyaN ho kar
(( Akbar Allahabadi ))
***
Aqal phirti hai liye khaana-b-khana* ham ko
Ishq ab tuu hi bata koi thikaana ham ko
*Khana b Khana = Dar b dar
((Kalim Aajiz))
***
Tum ise shikwa samajh kar kis liye sharma gaye
MuddatoN ke baad dekha tha, ke aansoo aagaye
((Anwar Sabri))
***
Dono jahan ke aish ka malik wahi huwa
Baar-e-alam* uthaya hai jis ne khushi ke sath
*Baar-e-alam = gam ka boj
((Aazaad))
***
Zuban dil ki haqiqat ko kya bayaN karti
Kisi ka haal kisi se kaha nahin jaata
((Aziz lakhnavi))
***
Kuchh aise dil ne maze khoon-e-aarzoo ke liye
ZubaaN hai or tarastaa hun guftaguu ke liye
((Taskeen Quraishi))
***
Kalam-e-Sayyid | Kalam-e-Saahil | Kalam-e-Aamir







Leave a Reply