We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.
Bikhre Moti
* * * * *
Yun tujh ko ikhtiyaar hai taaseer de n de
Dast-e-duaa ham aaj uthaye hue to hein
(( Majaaz Lakhnavi ))
***
Aankh mein ashk-e-nadamat dab-daba kar reh gaye
Ham yun hi aksar duaa ko haath uthaa kar reh gaye
(( Asar Lakhnavi ))
***
RuswaaiyoN ki apni mujhe kuchh hawas nahiN
Naseh..!! pe kya karun ke mera dil pe bas nahiN
(( Ziya Dehelvi ))
***
Gunche ke muskurane pe kehte hain hans ke phool
Apnaa karo khayaal hamaari ko kat gayi !!!
(( Shaad ))
***
Ye to sach hai mujh pe aap karam farmayenge
Lekin itna dhiyaan rahe log bohot behkayenge
(( Mahirul Qadri ))
***
Aur bhi rooth n jaaye meri khushiyoN ki tarah
Ek roothe ko manaate huwe jee dartaa hai
((Raziya Khatoon))
***
Jo hasad kisi ko tujh pe ho, to hai ye teri khoobi
Ke jo too n khoob hota, to woh kyun husood* hota
*Husood= hasad karne wala / jalne wala
((Zauq))
***
ApnoN ki dosti ne sikhaayaa hai ye sabaq
GairoN ki dushmani bhi inayat se kam nahin
((josh malsiyani))
***
Man ki dolat haath aati hai to phir jaati nahiN
Tan ki dolat chhaauN hai aata hai dhan jaata hai dhan
((Allama “Iqbal”))
***
Kya hanse kya khaak koi ro sake
Dil thikane ho to sab kuchh ho sake
((Meer Hasan))
***
<< Facebook | Twitter >>
*
Kalam-e-Sayyid | Kalam-e-Saahil | Kalam-e-Aamir







Leave a Reply