“Raahi” Urdu Funny Poetry
Urdu Shayari
*
N ham hindi pdhela hai n ham english pdhela hai
Muhabbat ki khani sun ke tum par mar mitela hai
*
Meri nazron se bachkar tum kidhar se aata jata hai
Ye deevana teri rahon me barson se khdela hai
*
N ham dunyan se darta hai n tere ghar se darta hai
Jo sach poochho, tera aashiq faqat tera dabela hai
*
Ye mana jism hai aazaad lekin qeid me dil hai
Hmara dil tere balon ke jude me fhansela hai
*
Idhar ham rota jata hai udhar tum muskurata hai
Haqiqat me tumhara dil bhi patthar ka banela hai
*
Idhar ham rat bhar sota nahi hai yaad men teri
Magar tum chen se makhmal ke bistar pe pdela hai
*
Suna hai “raahi” ne har eyk tum pe jaan deta hai
Khuda ne naak naksha tera fursat men ghdela hai
*







Aati hy yad teri aansu baha leta hun
kisi phol ko ‘s’ samjh kr seney sy laga leta hun
VERY NICE RAAHI SAHAB
Sachchi mar mitela kya
Na Jane Kya baat thi us hasine main,
Jo ek hi jhalak se main pagal hua.
Me nahi janta hoon ke yeh meri pagal pagan Kya rang layengi…
the urdu poetry is gaining ground because of its diverse tastes and talents. we can not weep or laugh in english. we can also not go to arabic
and persian vocabulary to cater the emotional shades of the present generation. in order to inbuilt the the age-old pattern of a rich urdu poetry, one need to capture the multilingual emotions in their respective dailectical tones. this kind of poetry is not a joke but a serious attempt to give a life to otherwise dying literature. a very reformative approach.
thank you.
very nice
Wah……….
Bahut khoob sher marela hai…
Bekar shayri