<< Sayyid Randeri >>
*****
N shaakh-o-gul pe n khaaro’n pe ikhtiyaar mujhe
Ho kis tarha se fiza aysi saazgaar mujhe
*
He abdiyat ka jo iqraar baar baar mujhe
Sar-e-niyaaz jhuka ne me kysi aar mujhe
*
Tere sitam ki kahan hogi taab yaar mujhe
Tera karam hi guzarta he aaj baar mujhe
*
Me us maqaam pe pohuncha hun ishq ke sadqe
Ke be-qarariya’n dene lagi qaraar mujhe
*
Kisi bhi haal me tar-daamni meri n gai
Bahaar bhi jo mili he to ashk-baar mujhe
*
Me tere gosh-e-dil me muqeem hun ab tak
Nazar jhuka ke muhabbat se too pukaar mujhe
*
Khyaal me bhi n laaye jo umar bhar mujh ko
Karenge yaad mere baad baar baar mujhe
*
N bhool kar bhi ye “sayyid” bhula sake ga tujhe
Diya he zakhm-e-jigar too ne yaad gaar mujhe
*
(click here for more kalam-e-Sayyid Randeri)







Leave a Reply