(Mohsin Naqvi)
*
Aankhain khuli rahain gi toh manzar bih aaenge
Zinda hai dil to aur sitamgar bhi aaenge
*
Pehchhan lo tamaam faqeeroN ke khadd-o-khaal
Kuchh log shab ko bhes badal kar bhi aaenge
*
Gehri khamosh jheel ke paani ko yun na chhed
Cheente uday to teri qaba par bhi aaenge
*
Khud ko chhupa n sheesha garon ki dukaan main
Sheeshey chamak rahey hain toh pathar bhi aaenge
*
Ae shehr-e-yaar dasht say fursat nahin magar
Niklay safar pay hum to tere ghar bhi aaenge
*
“Mohsin” abhi saba ki sakhawat pay khush n ho
Jhonkay yehi basoorat-e-sar sar bhi aaenge
*
( Click here for more kalam-e-Mohsin Naqvi )






Leave a Reply