*
Pathar bana diya mujhe rone nhin diya
Daman bhi tere gham me bhigone nhin diya
*
Tanhaiyan tumhara pata puchti rahi
Shab bhar tumhari yad ne sone nhin diya
*
Ankhon me aake beth gayi annsoon ki lehar
palkon pe koi khwaab pirone nahin diya
*
Dil ko tumhare naam ke aansu aziz the
Duniya ka koi dard samone nhin diya
*
“Nasir” yun us ki yad chali hath tham kar
Mele me is jahan ke khone nhin diya
*
By Nasir Shakeb






Bahtareen ghazal se nawaaza janaab Nasir Kaazmi
ne dil bahal gaya bahur sukoon mila. Kaaabile
Tareef . Shukriya.
Himmat afzaai ka bohot shukriya, Tashreef laate rahiyega.
Patthar bana diya- poet is Nasir Shakeb. Not Nasir kaazmi. I m. His friend and remember. Most of his ghazals by heart.
Bahot navazish aap ki “Arif” sahab.. is ittela ke liye ham aap ke shukarguzaar hain.. Janab Nasir Shakeb ki mazeed ghazaliyat aap ko yaad ho to hamein email ke zariye bhejen, navazish hogi.
bahot khub. Hum chahte hai k or ap share kare hamare sath. Padhne mei bahot lutf ata h.
yaqeen kijiye aap jaise qadardaanon ke saath ye qeemti sarmaya share karne mein hamen bhi bada lutf aata hai. 🙂 navazish aap ki.
Janab mujhe bhi ek do ghazal bhej dijiye maherbani hogi
Maherbaan.. ye saari ghazaliyat aap jaise qadardanon ke liye hi to hain.. 🙂