Best Urdu Poetry by Dr. Basir Badr
Urdu Shayari, Urdu Ghazal
♥
Patthar ke jigar walo..! gham mein wo rawani hai
Khud raah bana lega, behta huwa paani hai
♥
PhooloN mein ghazal rakhna, ye raat ki raani hai
Is mein teri zulfon ki be-rabt kahani hai
♥
Ek zehn-e-pareshaN mein, wo phool sa chehra hai
Patthar ki hifazat mein sheeshe ki jawani hai
♥
Kyun chaandni raaton mein, darya mein nahate ho
Soye huwe paani mein kya aag lagaani hai?
♥
Is hosl-e-dil par ham ne bhi kafan pehna
Hanskar koi poochega, kya jaan gawaani hai?
♥
Rone ka asar dil par, reh reh ke badalta hai
Aansoo kabhi sheesha hai, aansoo kabhi paani hai
♥
Ye shabnami lehja hai, aahista ghazal padhna
Titli ki kahani hai, phooloN ki zubaani hai
♥ ♥ ♥
पत्थर के जिगर वालो, ग़म में वो रवानी है
खुदा राह बना लेगा, बहता हुवा पानी है
♥
फूलों में ग़ज़ल रखना, ये रात की रानी है
इस में तेरी ज़ुल्फ़ों की बे-रब्त कहानी है
♥
इक ज़ेह्ने परेशां में वो फूल सा चेहरा है
पत्थर की हिफाज़त में शीशे की जवानी है
♥
क्यूँ चांदनी रातों में दरया पे नहाते हो
सोए हुए पानी में क्या आग लगनी है
♥
इस होसला ए दिल पर हम ने भी कफ़न पहना
हंकर कोई पूछेगा क्या जान गवानी है
♥
रोने का असर दिल पर रह रह के बदलता है
आंसू कभी शीशा है, आंसू कभी पानी है
♥
ये शबनमी लहजा है, आहिस्ता ग़ज़ल पढ़ना
तितली की कहानी है, फूलों की ज़ुबानी है
♥
बशीर बद्र
Mazeed: kalam – e – Bashir Badr







Bahut undated Illyrian hain aap zzzz