Urdu Shayari / Ghazal By Rahat Indori
*
PeshaniyoN pe likhkhe muqaddar nahin mile
Dastaar kya milegi jahaan sar nahin mile
*
Aavaargi ko doobte suraj se rabt hai
Maghrib ke baad ham bhi to ghar par nahin mile
*
Kal aainoN ka jashn huwa tha tamaam raat
Andhe tamashbeenoN ko patthar nahin mile
*
Mein chahta tha khud se mulaqaat ho magar
Aaiine mere qad ke barabar nahin mile
*
Pardes ja rahe ho to sab dekh te chalo
Mumkin hai wapas aao to ye ghar nahin mile
*
Mazeed: Rahat Indori







BAHOOT KHOOB..
Very nice bhut khoob
very nice very nice very nice very nice…………………………….
HAM TO HYRAN HAIN TAIRY NAM KA MANTAR PARD KAR NA DHUWAN UTHA NA AAG LAGI TERY NAM KI PHR BI SHMAN JALI WHA RAHAT INDORY WHA RAHAT INDORY From:PKISTAN