Ek lamhe ki judaai : Ghazal by Meena Kumari “Naaz”
*
Puchhte ho to suno, kaise basar hoti hai
Raat khairat ki, sadqe ki sahar hoti hai
*
Sans bharne ko to jeena nahin kehte yaa rab
Dil hi dukhata hai n ab aasteeN tar hoti hai
*
Jaise jagi hui aankhoN mein chubhe kanch ke khwab
Raat is tarah deevanoN ki basar hoti hai
*
Gham hi dushman hai mera gham hi ko dil dhundhata hai
Ek lamhe ki judaai bhi agar hoti hai
*
Ek markaz ki talash ek bhatakati khushbu
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai
*
Ghazal By Meena Kumari “Naaz”
*






Masha allha
Kuc sher bhejna chahta hu.