( Bashir Badr )
***
Khuda Humko Aysi Khudaaii N De
Ke Apne Siwaa Kuch Dikhaaii N De
*
Mein AshkoN Se Naam e Muhammad (s.a.s.) Likhun
Qalam Chheen Le Roshnaaii N De
*
Mujhe Aysi Jannat Nahin Chahiye
Jahan Se Madeena Dikhaii N De
*
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhaaii N De
*
Khatawaar* Samjhegi Duniyaa Tujhe
Ab Itni Bhi Ziyada Safaaii Na De
(Khatawaar = Gunehgaar, Guilty )
*
Hanso Aaj Itna Ke Is Shor Mein
Sada SiskiyoN Ki Sunaaii N De
*
Mujhe Apni Chaadar Se Yun DhaNp Le
ZamiN AasmaN Kuchh Dikhaaii N De
*
Gulami Ko Barkat Samajhne Lage
AseeroN* ko Aysi Rihaaii N De
(Aseer = Qaidi, Bandhak)
***
(( Click here for more kalam-e-Bashir Badr ))
We would be extremely happy if you would tell others by pressing the share button below.







Leave a Reply