<<->>
Sadma to hai mujhe bhi, ke tujh se juda hun main
Lekin ye sochta hun ke ab tera kya hun main
*
Bikhra pada hai tere hi ghar mein tera wujood
Bekaar mehfilon mein tujhe dhoondhta hun main
*
Mein khud-kashi ke jurm ka karta hun aiteraaf
Apne badan ki qabr mein kab se gada hun main
*
Kis kis ka naam laauN zubaN par, ke tere saath
Har roz ek shakhs nyaa dekhtaa hun main
*
Kya jaane kis adaa se liya tu ne mera naam
Duniya samajh rahi hai ke sab kuchh tera hun main
*
Le mere tajruboN se sabaq, ay mere raqeeb
Do char saal umr mein tujh se bada hun main
*
Jaaga huwa zameer hai wo aaina “Qateel”
Sone se pehle roz jise dekhta hun main
*
( Click here for more kalam-e-Qateel Shifai )







Leave a Reply