Urdu Shayari By Rehana Qamar
*
Us ka chehra bhi sunaata hai kahaani us ki
Chaahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki
*
Wo sitamgar hai to ab us se shikayat kaisi
Ye sitam karna bhi aadat hai puraani us ki
*
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon par
Chand aansu hain mere pass nishaani us ki
*
Us jafa-kaar* ko maloom nahin woh kya hai
Be-murawat ko hai tasveer dikhaani us ki
Jafakaar = Bewafa
*
Ek woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko
Ek mein hoon ke dil-o-jaaN se deewani us ki
*
Tum ko ulfat hai “Qamar” us se to ab keh dena
Saamne sab ke suna-dena kahaani us ki
*






Leave a Reply