(Qateel Shifai)
<->
Siskiyan leti huai ghamgeeN hawaao chup raho
So rahe hein dard in ko mat jagaao chup raho
*
Raat ka patthar n pighlega, shuaaoN ke bghair
Subha hone tak n bolo ham-nawaao chup raho
*
Band hai sab maiqade, saaqi bane hain mohtasib
Ay garajti goonjti kaali ghataao chup raho
*
Tum ko hai maloom aakhir kon sa mausam hai ye
Fasl-e-gul aane talak ay khush-nawaao chup raho
*
Soch ki deewar se lag-kar hain gham baithe huwe
Dil mein bhi naghma n koi gungunaao chup raho
*
Chhat gaye haalaat ke baadal to dekha jaayega
Waqt se pehle andhere mein n jaao chup raho
*
Kyun sharik-e-gham banate ho kisi ko ay “Qateel”
Apni sooli apne kaandhe par uthaao chup raho
*
( Click here for more kalam-e-Qateel Shifai )







Leave a Reply