<< By Jan Nissar Akhtar >>
*
Zindagi ye to nahin tujh ko sanvaara hi n ho
Kuchh n kuchh teraa bhi ehsaan utara hi n ho
*
Kuu-e-qaatil* ki badi dhoom hai, chal kar dekhen
Kya khabar kooch-e-dildaar se pyara hi n ho
Kuu-e-Qaatil = Qaatil ki gali
*
Dil ko chhoo jaati hai youn raat ki aawaaz kabhi
Chaunk uthtaa hun kahin tuune pukara hi n ho
*
Kahbi palkon pe chamakti hai jo ashkon ki lakeer
Sochta hun tere aanchal ka kinaraa hi n ho
*
Sharm aati hai ke us shehar mien ham hai ke jahan
N mile bheek to laakhon ka guzaara hi n ho
*
(( Click here for more Kalam-e-JaaN Nisar Akhtar ))






Leave a Reply