Sayyid Randeri Urdu Shayri
♥
Chale jaane se ek tere, huwa saraa jahaN veeraN
Chhupa hai chand jab se, ho gaya hai aasmaN veeraN
Utha lena tha duniya se wafa ke saat insaaN ko
Ilaahi jab makeeN uth jaaye hota hai makaaN veeraN
Ye kin haathon mein de di yaa ilahi hind ki qismat
Chaman ko kar raha hai aaj khud hi baghbaN veeraN
Wahan gulshan mein tere khil rahe hain phool chahat ke
Meri tanhaaiyaN karti rahi mujh ko yahaN veeraN
Khushi ke geet mein jab bhi sunata hun zamane ko
Nikal aati hai toote dil se aksar daastaaN veeraN
Khuda ne taqat-e-guftaar* di haq baat kehne ko
N haq goii* pe uth paaye to hai aysi zubaN veeraN
taqat e guftaar = baat karne ki taqat | haq goii = sach bolna
Ye aasaar-e-qayaamat hai, khuda hi khair farmaye
DuaaeN baanj hai, insan ki aah-o-fugaaN veeraN
Irade nek-o-pukhta ho, balaayeN chhoo nahin sakti
Tujhe karta hai khud “Sayyid” tera wahm-o-gumaN veeraN
♥
Sayyid Randeri Ghazal in Urdu/Hindi
♥
Mazeed : kalam-e-Sayyid Randeri





